CHAAHAT

 

Jab jaan-naa chaha,

tab haalaat nhi the.

 

Jab maan-na chaaha,

tab jazbaat nhi the.

 

Jab chaaha ki lafzon mein krein kuch banyaa

tab, sach kehti hun, shabd hi nhi the.

 

Jab dhuud-na chaaha,

tab jawaab kayi the.

 

Jab apnana chaaha,

tab sawaal kayi thi.

 

Jab chaaha ki aankhein mund kar sun lun dil ki baat

tab, sach kehti hun, dil mein koi ehsaas hi nhi the.

 

Jab samajhna chaaha,

tab pehlu kayi the.

 

Jab smajhaana chaaha,

tab tum hi nhi the.

 

Jab chaaha ki khud mein khud se hi mil lun

tab, sach kehti hun, Allah bhi yhin the aur Ishwar bhi yhin the….

 

Jab milin unse,

tab puchha maine,

 

jaana khn tha,

aur khn hain chal diye.

 

Jab suna unhone meri chaahat ko

tab vo bole, main sach kehta hun, aana tha yhin pe…..tumhe, aana tha yhin pe.

2 thoughts on “CHAAHAT

Leave a comment

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.