Ardh Satya

Jharne mein behte hue shor boond boond ka,

Aur Behti hui nadi mein achanak se aana kisi mod ka.

Halki si baarish mein garajna zor se baadal ka,

Aur andheri raat mein bujhna aakhri mombatti ka.

Bin bulayi barsaat se tootna ghar kisi ka,

Aur bina wajah bataye ruthna zindagi ka.

Aakhri chaai ki chuski mein milna mishri ka,

Aur ghanto intzaar ke baad chhutna gaadi ka.

Khwahishon se bhare bheed mein akele reh jaane ka,

Aur akele mein bhi apno ka sukoon paa jaane ka.

Aadhi raat mein kisi dhamaake se uthne ka,

Aur nayi subah mein nayi shuruwat ke hone ka.

Chehkti muskaan mein badhte vishwas ka,        

Bachhe ki kilkari mein khilane wale ki naadani ka.

Ehsaas hain sab kisi mein kuch zada ya kuch kam,         

Hastakshep soch hai sab kisi ka armaan kisi ka mat.

Kamal ke kichad mein khilne jaisa kisi ka jhooth kisi ka sach,                          

Aur grahan mein kisi ke milne ya kisi ki doori jaisa hai ye saara ardh satya ardh satya.

One thought on “Ardh Satya

Leave a reply to The Intervals Cancel reply

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.